Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi

Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Mp3 Download by Siddique Ismail. Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya nahein Karte Naat Lyrics.

Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Lyrics

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa say dil ko behlaya nahein kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahein kartay
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahein kartay

Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nahein kartay

Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin kartay.

Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi kartay.

Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hay
Sakhi data hain khali haath lotaya nahein kertay.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahein kartay.

Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi kartay.

Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi kartay.

Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi kartay.

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi kartay.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi kartay,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi kartay.

Siddique Ismail

Siddiqu Ismail naats mp3 downloadSiddique Ismail was born on 1954 in Karachi. He started Naat Khawani at the age of nine years. Due to polio, he lost his legs in early age. He is reciting Naats for more than 50 years now. The first time he appeared on radio Pakistan in 1956 and late on in 1969 he recited Naats on PTV. He is one of the first Naat Khawan of PTV. He got fame from the Documentary of the construction of Makkah & Madian. In his melodious voice, the Azaan telecasted for many years on PTV.

He was awarded pride of performance in 1985 & Sitara-e-Imtiaz in 2012. Most of his Naats are in Urdu language but he also recites Naats in Arabic, Persian, Sindhi, Pashtu languages. He recited more than 1200 Naats. His most famous Naats are Ya Rasool Allah Teray Dar k Ghulamon, Noori Mehfil Pay Chadr Tani Noor key, Madinay Ka Safar Hai etc.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *