Mera Koi Nahi Hai Tere Siw mp3 download by Hafiz Ahmed Raza Qadri. Naat Mera Koi Nahi Hai Tere Siw lyrics in Urdu. Mera Koi Nahi Hai Tere Siw Ahmed Raza Qadri mp3 download.
Mera Koi Nahi Hai Tere Siw Lyrics
Koi Nahi mera koi nahi
Koi Nahi mera koi nahi
Jo kuchh bhi mangana hai
Dar e mustafa se mang
Allah ke habeeb Shah e ambiya se mang
Ab tak kaha andheron me bahatka hua tha tu
Ghar roshni ki chah hai noor e khuda se mang
Mera koi nahi hai tere siva
Mai ban ke savali aya hu
Mai joli khali laya hu
Mera koi nahi hai tere siva
Muje nazr e karam ki bhikh mile
Karam ki bhikh ata ho gunahgaron ko
Sahara dijiye sarkar be saharon ko
Agar huzur ki rehmat ka asara ho jae
Zamane me muje jine ka hosla ho jae
Ghar tum na suno ge to meri kaun sune ga
Ghar tum na karoge to karam kaun karega
Khud bhikhdeke kehte hai mangaton ki khair ho
Esa sakhi darbar to dekha nahi koi
Muje nazr e karam ki bhikh mile
Mai joli khali laya hu
Mera koi nahi hai tere siva
Meri gunah me guzri hai zindagi sari
Mai tujko bhul gaya tha ae rehmat e baari
Gunahgar sahi fir bhi khush nasib hu mai
Sharik ummat e ali ae habib hu mai
Mai khak ban ke faza me bikhar gaya hota
Vaseela milta na tera to mar gaya hota
Muje nazr e karam ki bhikh mile
Mai joli khali laya hu
Mera koi nahi hai tere siva
Bakhshish gunahon ki khuda karde hamari tu
Jitni khataen ho gai kar maaf sari tu
Daman me leke aaye hai kitni duaen ham
Mushkil hamari door ho ab ho na koi gham
Bas aur koi nahi iltija meri
Jo dil se nikli hai sunle jara sada meri
Muje nazr e karam ki bhikh mile
Mai joli khali laya hu
Mera koi nahi hai tere siva
Ramzan me utara hai tune quraan ko
Bada diya hai aur bhi roze ki shan ko
Ansu bhari hui hai ye ankhen hamari aaj
Hamto bahot bure hai rakhna hamari laaj
Ab dekh le sajdon me rone valon ko
Ke tere zikr me ankhen bhi dhone valon ko
Muje nazr e karam ki bhikh mile
Mai joli khali laya hu
Mera koi nahi hai tere siva
Mai banke savali aaya hu
Mai joli khali laya hu
Hafiz Ahmed Raza Qadri
Hafiz Ahmed Raza Qadri was born on 1990 in Lahore in a religious Family. He started Naat Khawani in his childhood. He had won may Naat competition in his student life. His first Naat was Ya Muhammad Muhammad Main Kehta Raha. He got fame in Sehri transmission of Geo News with Aamir Liaqat Hussain. In 2018 he was more searched then Owais Raza Qadri in Google. He traveled worldwide countries like Saudi Arabia, UAE, South Africa, UK, Australia etc. He won several awards worldwide like Most divine Naat Khawan, Award from British Muslim Association London, Award from Pak Welfare Association Kuwait. Ahmed has released more than 10 Naats albums till now. He has attracted the young generation towards Naat Khawani and Islam. A large collection of MP3 Naats of Ahmed Raza Qadri listed below. You can listen online or download some of the famous Naats from the below list.