Mein To Panjtan Ka Ghulam Hoon

Mein To Panjtan Ka Ghulam Hoon Mp3 Download By Fasihuddin Soharwardi. Mein To Panjtan Ka Ghulam Hoon Lyrics Mp3 Free Download.

Mein To Panjtan Ka Ghulam Hoon Lyrics

Mein to Panjatan ka Ghulam hoon
Mein Ghulaam ibn e Ghulam hoon Mein to Panjatan ka Ghulam hoon
Mujhe ishq hai to Khuda se hai Mujhe ishq hai to Rasool se
Yeh karam hai Sara Batool ka Mere monh se aaye mehak sada
Jo mein naam loon tera jhoom kay Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Mujhe ishq Sarv o Saman se hai Mujhe ishq saare Chaman se hai
Mujhe ishq un kay Watan se hai Mujhe ishq unki Gali se hai
Mujhe ishq hai to Ali se hai Mujhe ishq hai to Hassan se hai
Mujhe ishq hai to Hussain se hai Mujhe ishq Shah e Zaman se hai
Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Hua kaise tan se woh sar juda Jahan ishq ho wahin Karbala
Meri baat unhi ki hai Mere saamne wohi zaat hai
Wohi jinko Sher e Khuda kahein Jinhein baab e Salle ala kahein
Wohi jino Aale Nabi kahein Wohi jinko zaat e Ali kahein
Wohi Pukhta hain, mein to Khaam hoon Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Mein qamar hon shaare be nawa Meri haisyat bhi bhala kia
Woh hain Badshahon kay Badshah Mein hon un ke dar ka, bas ik gada
Mera Panjatan se hai wasta Mera nisbaton ka hai silsila
Mein Faqeer Khair ul Anam hoon Mein to Panjatan ka Ghulam hoon
Mein Ghulam ibn e Ghulam hoon Mein to Panjatan ka Ghulam hoon
Mein to Panjatan ka Ghulam hoon

Syed Fasihuddin Soharwardi

Fasihuddin Soharwardi Mp3 naats free downloadSyed Fasihuddin Soharwardi is one of the most popular Naat Khawan and Nasheed reciter in the Muslim world. He was born on 1957 in Karachi. Fasihuddin Soharwardi started reciting Nasheed at the age of five. He has a unique style with a powerful voice to recite Naats. He has traveled to various countries to attend the Mahafil-e-Naats. Fasihuddin Soharwardi has recited thousands of Naats and Nasheeds. Most of his recited Naats are in Urdu but he also recited in Punjabi, Arabic & Persian. He is greatly impressed by his father Syed Riazuddin Soharwardy. He has released more than 60 albums. Some of his popular Naats are ‘Khuda Ka Zikr Karey, Main Tu Panjtan Ka Ghulam Hoon. Ay Subz gumbad walay. Some of the most famous Naats of Fasihuddin Soharwardi listed below.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *